Mardon ko Jannat mein hoorain milengi to auraton ko kya milega?
Is ke alawa Jannat mein kunwari foot ho jane wali ladki kisi ki biwi banegi? Yeh ek aisa sawal hai jo aaj kal bohat zyada dekhne ko milta hai. Khawateen hi nahi, aksar hamare bhai bhi yeh sawal karte nazar aate hain. Inhi sawalon ka jawab aaj hum aapko bata rahe hain.
Nek aurat agar shadi shuda hai to Jannat mein apne jannati shohar ke saath rahegi aur shohar ko milne wali hooron ki sardar hogi. Aur Allah Ta'ala us aurat ko un sab se haseen o jameel banayega. Aur woh miyan biwi apas mein tut kar mohabbat karne wale honge. Aur agar dunya mein aurat ke mua'tadd shohar hon, yaani aurat ne apne shohar ke intiqal ya us ke talaq dene ke baad dusri shadi kar li ho, yaani iss aurat ne do ya is se zyada shadiyan ki ho, to woh Jannat mein apne kisi shohar ke saath rahegi. Is bare mein mukhtalif riwayat aur aqwal maujood hain.
Ke aisi aurat ko ikhtiyar diya jaye ga ke jis ke saath us ki zyada muaawin ho, us ko ikhtiyar kar le ya woh aurat aakhri shohar ke saath rahegi. Is bare mein Hazrat Abu Zar (RA) se marvi hai ke Aap (SAW) ne farmaya, "Aurat ko us ka aakhri shohar mile ga."
Isi tarah ek aur maqam par bayan hua ke aurat us shohar ke saath rahegi jis ne dunya mein us ke saath achhe akhlaq ka bartao kiya hoga, aur woh shohar jis ne aurat par zulm kiya hoga, us ko tang kiya hoga, woh us aurat se mehroom rahega. Hazrat Umm Salamah (RA) ki ek riwayat mein hai ke unhone Aap (SAW) se poocha, "Kisi ke do shohar hon to Jannat mein kis ke saath rahegi?" To Aap (SAW) ne farmaya, "Usay ikhtiyar diya jaye ga ke woh kisi bhi shohar ke saath rah sakti hai" aur farmaya, "Jis ne dunya mein us ke saath achhe akhlaq ka bartao kiya hoga, wahi us ka Jannati shohar hoga." Ae Umm Salamah (RA), achi akhlaq wali dunya aur aakhirat ki bhalaai le gi.
Aur agar aurat kunwari hai, yaani us ka shadi se pehle hi intiqal ho gaya ho ya shadi shuda ho, to woh ho lekin us ka shohar jannati na ho to Jannat mein jis mard ko bhi woh pasand karegi, us ke saath us ka nikah ho jayega. Aur agar mojooda logon mein kisi ko bhi pasand na kare to Allah Ta'ala us ke liye ek mard jannati paida farmaenge.
Copyright (c) 2023 Quotation1996 All Right Reseved
0 Comments